Sawal: Namaz Mein Kitni Cheezein Farz Hain?
Jawab: Namaz Mein Chheh 6 Cheezein Farz Hain - Qiyaam, Qira'at, Rukoo, Sajda, Qa'ada Akhirah, Khurooje Bisun'ihi.
इस आर्टिकल को हिन्दी में पढ़ने के लिए यहां क्लिक कीजिए
Qiyaam
- Sawal: Qiyaam Farz Hai, Iska Kya Matlab Hai?
- Jawab: Iska Matlab Hai Ki Khade Ho Kar Namaz Ada Karna Zaroori Hai, To Agar Kisi Ne Baghair Uzr Ke Beth Kar Namaz Padhi To Nahi Hui. Chahe Aurat Ho Ya Mard - Haan, Nafl Namaz Beth Kar Parhna Jaiz Hai. (bahar-e-shariat)
Qira'at
- Sawal: Qira'at Farz Hai, Iska Kya Matlab Hai?
- Jawab: Iska Matlab Hai Ki Farz Ki Do Rak'aton Mein Aur Witr Sunnat Aur Nafl Ki Har Rak'at Mein Quran Sharif Padhna Zaroori Hai, To Agar Kisi Ne In Mein Quran Na Padha To Namaz Nahi Hogi. (bahar-e-shariat)
- Sawal: Quran Majeed Aahista Parhnay Ka Adna Darja Kya Hai?
- Jawab: Aahista Parhnay Ka Adna Darja Yeh Hai Ke Khud Sunay Agar Iss Qadar Aahista Parha Ke Khud Na Suna Toh Namaaz Nahi Hogi. (aalimgiri Behar-e-shariat)
Rukoo
- Sawal: Rukoo Ka Adna Darja Kya Hai?
- Jawab: Rukoo Ka Adna Darja Yeh Hai Ke Haath Ghutne Tak Pohanch Jaye Aur Poora Rukoo Yeh Hai Ke Peeth Seedhi Bichha De Aur Sar Peeth Ke Barabar Rakhe, Uncha Neecha Nah Rakhe.
Sajda
- Sawal: Sajda Ki Haqeeqat Kya Hai?
- Jawab: Peshani Zameen Par Jamna Sajda Ki Haqeeqat Hai Aur Paon Ki Ek Ungli Ka Pet Zameen Se Lagna Shart Hai, Yani Kam Se Kam Paon Ki Ek Ungli Ko Mod Kar Qibla Rukh Karna Zaroori Hai. Agar Kisi Ne Iss Tarah Sajda Kiya Ke Dono Paon Zameen Se Uthe Rahe Toh Namaaz Nah Hui, Balkay Sirf Ungli Ki Nok Zameen Se Lagi Jab Bhi Namaaz Nah Hui. (behar-e-shariat)
- Sawal: Kitni Ungliyon Ka Peeth Zameen Se Lagna Wajib Hai?
- Jawab: Dono Paon Ki Teen Teen (3-3) Ungliyon Ka Pet Zameen Se Lagna Wajib Hai.
Qa'ada Akheerah
- Sawal: Qa'ada Akheerah Ka Kya Matlab Hai?
- Jawab: Namaaz Ki Rakaatein Poori Karne Ke Baad Attahiyat Aur Durood-e-ibrahimi Tak Parhne Ki Miqdaar Baithna Farz Hai. (behar-e-shariat)
Khurooje Bisun'ihi
- Sawal: Khurooj Bisun'ihi Kise Kehte Hain?
- Jawab: Qa'ada Akheerah Ke Baad Namaaz Ko Tod Dene Wala Koi Kaam Jaan Boojh Kar Karne Ko Khurooj Bisun'ihi Kehte Hain, Lekin Salaam Ke Alawa Koi Doosra Namaaz Ko Tod Dene Wala Kaam Jaan Boojh Kar Paaya Gaya Toh Namaaz Ka Dobara Parhna Wajib Hai.